On Tue, Sep 17, 2013 at 12:07 AM, K.G. GOPALAKRISHNAN <kgopalakrishnan52@yahoo.in> wrote:
Jhoothi Kasam Se Aap
khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya
jhoothi qasam se aap ka imaan to gaya
dil leke muft kehte hain kuch kaam ka nahi
ulti shikaayatein rahi ehsaan to gaya
ab shaay-e-raaz-e-ishq go zillatein hue
lekin usse jata to diya, jaan to gaya
dekha hai butkade mein jo ae sheikh kuch na kuch
imaan ki to ye hai ki imaan to gaya
daraata hoon dekh kar dil-e-be-aarzu ko main
sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan to gaya
go naamaabar se khush na hua par hazaar shuqar
mujhko wo mere naam se pehchaan to gaya
hosh-o-hawaas-o-taab-o-tavaa'n "Daag" ja chuke
ab hum bhi jaane waale hain saamaan to gaya.
[DAAG DEHALVI]
__._,_.___
Reply via web post Reply to sender Reply to group Start a New Topic Messages in this topic (1) .
__,_._,___
Need Your Comments.....!
For University of Pakistan Study Material Sharing, Discussion, etc, Come and join us at http://4e542a34.linkbucks.com
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "Study" group.
To post to this group, send email to http://ca13054d.tinylinks.co
For more options, visit this group at
http://004bbb67.any.gs
No comments:
Post a Comment