Friday, 11 October 2013

15 Shaban , 15 Shaban ki fazeelat or aihmiyat

---------- Forwarded message ----------
From: "Islam is a Religion of Peace" <moodychichora@yahoo.com>
Date: Jun 25, 2013 5:16 AM
Subject: [Yaadein_Meri] 15 Shaban , 15 Shaban ki fazeelat or aihmiyat
To: "Cafe_Hyderabad@yahoogroups.com" <Cafe_Hyderabad@yahoogroups.com>, "karachimasti@yahoogroups.com" <karachimasti@yahoogroups.com>, "MadinaWay@yahoogroups.com" <MadinaWay@yahoogroups.com>, "MasjidNabwi@yahoogroups.com" <MasjidNabwi@yahoogroups.com>, "Jhilmil_Taray@yahoogroups.com" <Jhilmil_Taray@yahoogroups.com>, "sadqayyarasolallah@yahoogroups.com" <sadqayyarasolallah@yahoogroups.com>, "The-Karachi-World2@yahoogroups.com" <The-Karachi-World2@yahoogroups.com>, "TheKarachiWorld@yahoogroups.com" <TheKarachiWorld@yahoogroups.com>, "warsishah@yahoogroups.com" <warsishah@yahoogroups.com>, "dawat_e_tableeg@yahoogroups.com" <dawat_e_tableeg@yahoogroups.com>, "AhleSunnah@yahoogroups.com" <AhleSunnah@yahoogroups.com>, "hotkey4@yahoogroups.com" <hotkey4@yahoogroups.com>, "hrprofessionals@yahoogroups.com" <hrprofessionals@yahoogroups.com>, "h_resources@yahoogroups.com" <h_resources@yahoogroups.com>, "hr_professionalsKhi@yahoogroups.com" <hr_professionalsKhi@yahoogroups.com>, "dil_ki_dunyaa@yahoogroups.com" <dil_ki_dunyaa@yahoogroups.com>, "ModerateMuslims@yahoogroups.com" <ModerateMuslims@yahoogroups.com>, "rahehidayat@yahoogroups.com" <rahehidayat@yahoogroups.com>, "to_know_about_islam@yahoogroups.com" <to_know_about_islam@yahoogroups.com>, "VoiceOfMuslims@yahoogroups.com" <VoiceOfMuslims@yahoogroups.com>, "Heart_Hacker@yahoogroups.com" <Heart_Hacker@yahoogroups.com>, "funytimes@yahoogroups.com" <funytimes@yahoogroups.com>, "IslamHelpTalk@yahoogroups.com" <IslamHelpTalk@yahoogroups.com>, "discuss_islam_the_religion@yahoogroups.com" <discuss_islam_the_religion@yahoogroups.com>, "FrindsCafe@yahoogroups.com" <FrindsCafe@yahoogroups.com>, "life4islam@yahoogroups.com" <life4islam@yahoogroups.com>, "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>, "Friendsusama@yahoogroups.com" <Friendsusama@yahoogroups.com>

 

Shaban ka mahina bari hi barkat wala hay , shaban kay mahinay may rozay rakhnay ki bohat zada fazeelat hay , shaban kay mahinay may zada say zada naik amal kernay chaiyay or burai say bachna chaiyay , shaban kay mahinay kay bad Ramzan ka mahina suroo hojata hay , isi liyay shaban kay mahinay say he insan ko apnay ap ko ramzan kay mahinay kay liyay tayari suroo kerdayni chaiyay .15 shaban ki raat ko Allah apnay bando say kehtay hay kay, hay koi jo apnay gunaho ko maafi chata ho, hay koi  jo apnay rizq or apnay rozgar may barkat chata ho , mango mujh say jo mangna chatay ho , mujh say khoob dua mango , may tumhari dua ko apni bargah may qabool keroonga , may tumharay gunah ko maaf kerdoonga , may tumharay rizq or rozgar may berkat doonga , 15 shaban ki raat ki bohat  zada fazeela hay , Allah 15 shaban ki raat ko bohat zada musalmano ko maaf farma daytay hay , jis shaks ko 15 shaban ki raat mil jaye usay chaiyay kay woh khoob Allah ki ibadat karay , namaz perhay , Quran Majeed ki tilawat karay , zada say zada Allah say dua mangay or Roza rakhnay ki koshish karay.

15 shaban ki raat ki rehmat or fazeelat say kon kon mehroom rehta hay , yani woh is rat ko jitni bhe ibadat kerlay us ka koi faida nahee (han agar Allah chaye to us ki sari ibadat ko qabool farmalay , kiun kay Allah bara he meharban or nijayat reham kernay wala hay , Allah jisay chaye maaf kerday or Allah jisay chaye baksh day ) . 15 shaban ki raat ki barkat sat woh shakhs mehroom rahay ga jo sharab peeta ho , woh shaks jo geebat kerta ho , woh shaks jo hasad kerta ho , woh shaks dil kay under keena ho , woh shaks jo apnay maa baap ka nafarman ho , wo shaks jis kay maa baap us say khush na ho , woh shaks jo jadoo tonay kerta ho ya kerwata ho , woh shaks jo kala jadoo or safli amal kerta ho or kerwata ho. Garz yay kay agar ap nay kisi ka dil dhukaya hay ya apki zaat say kisi ko koi takleef pohanchi ho to bas ap ko chaiyay kay ap us say maafi mangiyay , agar ap nay kisi ka dil dhukaya ho , apnay maa baap ka dil dhukaya ho to un say maafi mangay , agar ap nay kisi kay say koi ziyadti ji ho to us say ap maafi mangiyay , huqooq ul ebad us waqt tak Allah maaf nahee karaingaye , jab tak woh banda jis ko ap ki zaat say takleef pohanchi hay woh khud ap ko maaf na karday , bas ap us banday say bhee mangiyay or Allah say bhee maafi mangiyay.

15 Shaban ka din ki aihmiyat is waja say bhe bohat zada hay kay aj kay din insane ki zindagee kay faislay hotay hay , kitnay logo ko is saal intiqal hona hay , kitnay insano ko is saal paidaish hogee , kis ko kitna rizq diya jaye ga , kis kay rozgar may izafa hoga or kis kay rozgar may kami hogee , kis ki zindagee may kitni khushiyan ayeegee or kis ki zindagee may kitni takleef or dukh aye gee , garz yay kay insan ki zindagee kay saray faislay aj kay din hotay hay. 

Bas jo is raat ko palay woh zada say zada Allah say dua mangay , apnay gunah ki maafi mangay , apnay sageera kabeera , zahiri batni , jo gunah jaan boojh kay kiyay , jo gunah anaajay may gogaye sab gunah ki maafi mangiyay .

HAZRAT MOHAMMAD (Sallallahooalahi-Wasallam) zindagee may aik bar JANNAT Ul BAQI yani qabristan gaye thay , is say yay bat pata chalti kay agar insan zindagee may aik bar aj ki raat qabristan chala jaye to woh kafi hay , waiay to hamay qabristan jatay rehna chaiyay , is say insan ko mot ki yad ate hay or insan Allah ki taraf rujookerta hay , naik amal kerta hay or gunah say bachta hay , aj ki raat or wiasay bhe jab moqa milay apnay merhoomeen ki bakshish or magfirat ki dua mangna chaiyay or un kay esal e sawab bhe kerna chaiyay , zada say zada Quran majeed ki tilawat kerkay apnay marhoomen ko bakshna chaiyay yani un kay esal e sawab kay liyay kuch na kuch kertay rehna chaiyay , kiun kay jab insan is duniya say chala jata hay to jo amal us nay kiyay hotay hay achay ya buray woh to us kay sath jatay he hay , likin esal e sawab bhe kertay rehna chaiyay apnay merhoomeen kay liyay takay Allah un kay gunaho ko maaf farmaday or agar un per un kay kuch gunah ki waja say azab horahay hay to Allah us ko khatam farmaday ya us may kami kerday.
Namaz ki pabandi behda zaroori hay , Namaz tamam musalman mard or orat per farz ki gayee hay , isha or fajar ki namaz bajamat ada kernay ki koshish kijyay  , ap nay poori raat nafil namaz perhi or ap nay isha ya fajar ya dono namaz bajamat ya waqt per ada nahee keri to phir kiya faida , farz namaz ko apnay waqt per ada kijyay , jo shaks isha or fajar ki namaz apnay waqt per perhta hay usay poori raat ibadat kernay ka sawab milta hay.
15 shaban ki raat say zada faida wohee shaks utha sakta hay jo namaz ka paband ho , naik amal kernay wala ho , maa baap ki khidmat kernay wala ho , halal khanay wala or halal kamanay wala ho , burai say bachnay wala or naik amal kernay wala ho.
Is raat ko aksar daikha gaya hay kay chotay or baray lerkay patakhay (bomb) phartay hay j okay bohat galat hay , waosay bhe insan ki hath or zaban say dooray insan ko takleef pohnchay to us ka bohaat bara gunah hay , is rat ko log bomb phartay or Allah ki rehmat say apnay ap ko mehroom kertay hay , sab ki ibadat may khalal perhta hay , bomb ki awaz say log derjatay hay or un ko taqleef hotee hay , koi shaks beemar hota hay , us ko taqleef hotee hay , garz yay kay buray kam say bachna chaiyay , is rat ko naik amal kerna chaiyay na kay bomb phar kay apnay gunah may izafa nahee kerna chaiyay , yay maa baap ki zimadari hay kay woh apnay olad ki sahee tarbiyat karay or un ki kisi najaiz bat ko poora na karay.

AY ALLAH Jab jab tou apni REHMATON kay Darwazey kholey aour PUKARRY hai koi REHMAT Mmangny wala – Hai koi KHUSHIYAN mangny wala – Hai koi SHIFA mangny wala – Hai koi merey NABI SALLALLAHO ALAYHI WASSALAM ki CHAHAT mangny wala  To meri dua hai k AY ALLAH Sari KHUSHIYAN – Sari REHMATAIN – Sari KAMYABIYAN – Sari BARKATIAN – Sari SHIFA'ATAIN – Sari MEHRBANIYAN – Sari ATAIN – Sari INAYATIAN AY mery MAULA-E-KARIM ataa farma day MUJH ko MAREY MAA BAAP ko MAREY BEWI or BACHON ko MAREY BHAIYON or BHENON ko MAREY DOSTON ko MAREY AZIZ RISHTEY DARON ko MAREY PAROSIYON ko or TMAM MUSLAMANON KO (AAMEEN) or Ay KHALIQ-E-KAINAAT tu BARA GAFOOR or RAHEEM hay (Be'Shak) sub TAREEFAIN TERY liye hain (Be'Shak) ay marey RAB hum par RAHAM farma or Hamaisha KABIRA-o-SAGIRA GUNHAON say – DEEN ki  DOORI say – BAYROGARI say – TANGDASTI say – AAZMAISHON say – RIZQ ki  KAMI say – RUSWAIYON say – QARZ wo MARZ say – WALAYDIN KI NAFARMANI say –  AULAD K DUKH say – NAGAHNI AAFAT OR NAGAHANI MOUT say – QABAR K AZAB say – JAHANUM ki AAG say – HISAB KITAB k DIN (yani Roz-e-Mehshar ma) HISAB KITAB KI SAKHTI say  humari hifazat farma (AAMEEN) or AY MALIK-E-ARZ-O-SAMAA jo log is DAR-e-FANI say rukhsat ho gay hain main un tamam Marhoomin ki tarf say MUAFI ka sawal karta hon or  tujh say faryad karta hon k un tamam ko tu apny FAZAL-O-KARAM say MUAF farma kar apny JAWAR-e-REHMAT ma jaga aata farma (AAMEEN).AY RAB-E-KAABAA tujhy wasta hai tarey Piyary HABIB Hazrat MUHAMMAD MUSTAFA SALLALLAHO ALAYHI WASSALAM ka or AY marey PARWARDIGAR tujy wasta hai tari RAHIMI or KARIMI ka tu mari tamam umar ki DUAON ko or jo b IBADATIAN ki hain AY marey Piyary RAB to apny FAZAL-o-KARAM say QABUL farma lay (AAMEEN)

Allah mujhay bhee maaf farmday , aj tak may nay jitni bhe emails ki hay jis may Allah or us kay Nabi or Rasool HAZRAT MOHAMMAD (Sallallahooalahi-Wasallam) ka zikar huwa ho , us may mujh say koi galti , kami ya ziyadti hogayee ho to Allah say dua hay kay mujhay maaf farmaye , meray gunaho or meri galtiyo ko maff farmaye or mujhay hidayat naseeb farmaye (Ameen)

__._,_.___
Reply via web post Reply to sender Reply to group Start a New Topic Messages in this topic (1)
Recent Activity:
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment