Saturday 28 September 2013

Qurbani ka maqsad , Zilhaj ki fazeelat

On Sep 24, 2013 6:09 PM, "Islam is a Religion of Peace" <moodychichora@yahoo.com> wrote:
 




Assalam o Aliqum ,

Qurbani sirf Allah ki raza hasil kernay kay liyay kernay chaiyay , na kay doosro ko dikhaway kay liyay or na he Gosht khanay ki niyat say , Mehangay say Mehanga janwar doosro ko dikhaway ki niyat say lay ker ana aj kal ka fashion ban gaya hay ,sab log Qurbani kay janwar ki tasveer (photos) khainch rahay hotay hay , video bana rahay hay , afsos ki bat to yay hay kay Eid kay din jab Janwar ki Qurbani horahee hotee hay us waqt bhe log videos bana rahay hotay , jo kay galat hay , islam waisay bhe photos , tasveer kahinchnay say mana kerta hay . Qurbani ka maqsad yay hay kay jis tarah hum qurbani kay janwar kay galay per choori phairtay hay bilkul usi tarah apnay nafs or apni na jaiz khuwaishat per bhe churi phairain , jis kam say Allah nay roka hay, na pasand farmya hay us ko na karay , jo cheez Allah nay halal or jaiz karar di hay woh karay ,Quran o Sunnat kay mutabiq zindagee guzaray , Allah or us kay Rasool (Sallallahooalahi -Wasallam) kay bataye huway tareeqay kay mutabiq zindagee guzarain . Zilhaj kay mahinay may jo log Hajj nahee ker rahay hay in dino may nafil rozay rakh ker sawab kama saktay hay or apnay gunah maaf ker wasaktay hay , 1st zilhaj say 9th zilhaj tak Rozay rakhnay ki baree fazeelat hay , zada say zada rozay rakhnay ki koshish kijyay or namood o numaish say bachiyay , jo log ijtimai Qurbani ker rahay hay is bat ka khayal rakhay kay ijtimai qurbani kernay walay tamam logo ki niyat Allah ki raza hasil kerna ho, Gosht khanay ki niyat or dikhaway ki niyat na ho , or haram kay paisay us may istimal na ho rahay ho , agar aik banday ki bhe niyat kharab huwee , ya haram ka paisa huwa to sab ki qurbani zaya ho jaye gee , Qurbani kernay kay liyay khas tor per halal ka paisay istimal karain , apni niyato ko saaf rakhay , Amal ka daromadar Niyat per hay , Allah insan ki Niyat ko daikhta hay , Allah kay pass na to to qurbani kay janwar ka ghost pohanchta hay na hi khaal , Allah to sirf insan ki niyat daikhta hay kay meray banday nay qurbani kis niyat say ki hay , Zilhaj kay mahinay may zada say zada Rozay rakhiyay , Quran Majeed ki tilawat kijyay , Zikar Azkaar kijyay , burai or fahashi uryani , jhoot , dhoka , Qatal o Garat , Fahashi Uryani , dhoka , Sood , Haram khanay , Haram Kamanay , Zulm o sitam , Namaz chornay , Ganay sun nay or burai kay her kam say bach ker naik amal kernay or zada say zada Allah ki ibadat or us ki raza hasil kernay or zada say zada us say dua mangnay ki koshish kiyay , Allah mujhay or ap ko naik amal kernay or Allah ki raza hasil kernay kay liyay liyay Qurbani kernay ki toufeeq ata farmaye (Ameen) Allah hum sab ko hidayat day or burai say bachnay ki toufeeq ata farmaye .

9 Zil-Haj Ki Fajar Se 13 Zil-Hjj Ki Asr Tak Takbeer-e-Tashreeq Parhi Jaati Hay ! Har Faraz Namaz Ke Bad Aik Martaba Parhna Wajib Hay Na Parhne Per Gunah Hay !

Ortein Ahista Awaz Mein Parhein Ke Khud Sun Sakein Bas ! Aur Mard Buland Awaz Se Parhein ! Yaani 9 Zil-Hajj Ki Fajar Se Le Kar 13 Zil-Hajj Ki Ars Tak Faraz Namaz Ke Baad Ye Takbeer Parhein 1 Bar , Har Farz Namaz Ke Baad 1 Bar Parhna Wajib Hay.


photo



photo

photo



photo
photo
photo





__._,_.__



__._,_.___
Reply via web post Reply to sender Reply to group Start a New Topic Messages in this topic (1)
Recent Activity:
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment